Greenland

John kaam se ghar aate samay news me Clarke naam ke comet ke baare me sun raha hota hai. Unke ghar me party hoti hai. Allison John ko market se kuch saman laane ko kahti hai. Store par saman lete hue John ko presidential alert call aata hai, jisme use Allison or Nathan ke saath emergency shelter ke lie chuna gaya hota hai. Ghar pohoch kar wo yeh sab Allison ko batata hai.

John or uske friends tv par news dekh rahe hote hai ki ek comet earth se takrane wala hai. Tab unhe kuch ajeeb si aawaz sunayi deti hai. John bahar ja kar check karta hai to yeh sab comet ke girne ki shock waves hoti hai. Tabhi John ko fir se presidential alert call aati hai. Yeh alert uske tv par bhi aa raha hota hai. Use Georgia ke airforce base me pohochna hota hai. Wo log apna saman pack karke nikalte hai. 

Raste me unhe news sunte hue pata chalta hai ki agle 48 hours me ek bohot bada comet earth se takrayega jo ki duniya khatam kar dega. Nathan blanket nikalte hue apni medicine galti se gira deta hai. John or uski family airport base pohoch jaate hai. Officer unhe batata hai ki wo per family ek hi bag allow kar sakte hai. Ab wo log side me ja kar saman shift karte hai. Allison ko pata chalta hai ki Nathan ne galti se apni medicines car me gira di. John wo lene jata hai. Allison ek officer se baat karte hue use Nathan ki medicines ke baare me batati hai. Jiske baad officers use apne senior ke pass le jate hai. Allison officer ko batati hai ki Nathan ko diabetes hai. Officer use plane board karne se mana kar deti hai. 

John medicines le kar wapus aa jata hai. Wo Allison or Nathan ko dhondne ki koshish karta hai par wo use nahi milte. Ek officer use plane me chadhne ke lie kahti hai yeh kah kar ki uski family plane board kar chuki hogi. John bhi ek plane me baith jaata hai. Uske haath me medicine dekh kar ek passenger use batata hai ki plane me bimari wale logo ko chadhne ki permission nahi hai. Yeh sun kar John plane se utar jaata hai.

Allison airport se bahar aati hai. Jo log select nahi hue hote wo zabardasti airport me enter kar jaate hai. Airport par ladayi ka mohol ho jaata hai or planes me aag lag jaati hai. John ko ek officer batata hai ki uski wife or bete ko plane me jaane se mana kar diya gaya tha. Nathan ki tabiyat kharab hone lagti hai. John apni car par pohoch kar unhe dhoondta hai to use Allison ka note milta hai. 

Allison ek store par pohoch kar Nathan ki medicines leti hai. Wahan achanak kuch log aa kar firing shuru kar dete hai. Store se bahar nikal kar wo ek couple se lift mangti hai. Raste me us couple ko pata chalta hai ki wo log plane me jaane ke lie select hue the par ja nahi paye. John Allison ko call karta hai par kharab signals ki vajah se baat nahi ho paati. 

John ko ek truck dikhta hai jo North ki taraf ja raha hota hai. Truck me use Colin batata hai ki shelter ki secret location Greenland hai. Wo log kuch pilots ko jante hai jo ki unhe wahan le jayenge. Colin John or uski family ko bhi saath chalne ke lie kahta hai. 

Ralph raste me car rok kar Allison ka band cheen leta hai or Nathan ko apne saath le jaata hai. Allison uske piche jaati hai par use pakad nahi paati. Truck me 2 aadmi John ka bhi band lene ki koshish karte hai. Unke bich haathapayi shuru ho jaati hai. Wo sab truck se niche gir jaate hai. John se galti se ek aadmi mara jaata hai. Girne ki vajah se Colin bhi Marr jaata hai. 

Airport pohoch kar Judy or Ralph Nathan ko samjhate hai ki wo officers ko bataye ki wo uske parents hai. Par Nathan aisa nahi karta. Officer Nathan ko apne pass le leta hai. Allison kisi tarha airport pohochti hai. Wo ek volunteer ki help le kar Nathan ko dhoondti hai. 

John Allison ke dad ke ghar pohochta hai. Allison Lexington pohoch kar apne dad ko call karti hai. Wo use lene jaate hai. Ghar pohoch kar wo log news me shelter home ki footages dekhte hai. John Ali Osgoode chalne ke lie kahta hai taaki wo log plane board kar sake. 

Raste me aasman se aag barasne lagti hai. Wo log ek bridge ke niche cover lete hai. Sab shant hone ke baad wo log wahan se Osgoode ke lie fir nikalte hai. Wo log plane me baith jaate hai. Comet girne ki vajah se unke plane ko nuksaan pohochta hai or unhe emergency landing karwani padti hai. Wo log shelter ke pass pohoch jaate hai. Officer unhe truck me bithate hue batata hai ki bada wala comet kisi bhi time earth se takra sakta hai. Wo log shelter home pohoch jaate hai. Comet ke earth se takrane ki vajah se duniya khatam ho jaati hai. 9 mahine baad unke shelter ka gate kholte hai. 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *