Skyscraper

Skyscraper

Ash Lake, Minnesota me 10 saal pehle Will ek crime scene par jaata hai. Ben criminal ko shot karne ke lie kahta hai par Will mana kar deta hai kyuki uske pass koi hathiyar nahi hota. Tabhi wo criminal apne body par lage bomb ko blast kar deta hai. Will ko kaafi chot lagti hai. Hospital me use Sarah milti hai. 

Ab movie present day se start hoti hai. Zhao Long Ji duniya ki sabse tallest building banwata hai. Wo uska naam Pearl rakhta hai jisme kaafi saari facilities hoti hai. 

Georgia, Henry or Sarah zoo ja rahe hote hai. Ben Will ko Zhao se milwane wala hota hai Pearl ki security systems ki meeting ke lie. Zhao Will ko batata hai ki uski family Pearl ke residential area me rehne wali pehli family hai. Will apni presentation dikhata hai. 

Zhao Will ko ek tablet deta hai jo ki uske face recognition se khulegi. Is tab ki help se uske pass Pearl ke  saare access honge. Ben kisi ko message karke batata hai ki Will ke pass wo tablet hai. Zhao Will ko Pearl ke top floor par le kar jaata hai jahan par Abhi tak koi nahi gaya hota. 

Will or Ben raste me hote hai jab koi uska bag chori karke le jata hai. Kuch log Pearl me galat tarike se aa jaate hai. Ben Will ko apne ghar le jaata hai uski chot par patti lagane. Tab wo wahan dekhta hai ki wo tablet Will ke pass ab bhi hai. Ben call karke un logo ko iske baare me batata hai. Sarah Will ko batati hai ki wo log ghar jaldi wapus aa gaye. Ben Will se tablet mangta hai. Unke bich haathapayi hoti hai or Ben ko goli lag jaati hai. Kores Pearl ke 96th floor par aag laga deta hai. 

Xia Will se wo tablet le leti hai. Wo use marne hi wale hoti hai ki wahan police pohoch jaati hai. Sarah aag se bachne ki koshish karti hai. Xia Pearl ke control center pohoch kar sabko maar deti hai. Or wahan ke sare security system hack kar leti hai. 

Police Will ko galat samjh kar arrest karne ke order deti hai. Zhao ko Pearl se nikalne ke lie helicopter ready karte hai. Wo apne safe se kuch lene jaata hai. Will Pearl ke samne wali building par chadhne ki koshish karta hai. Kaafi mushkilo ke baad wo Pearl me enter ho jaata hai. 

Zhao helicopter ke pass pohochta hai par tabhi Kores wahan par firing shuru kar deta hai. Helicopter me blast ho jaata hai or mauka pa kar Zhao wahan se apne penthouse me bhaag jaata hai. Pierce Sarah ko pakad leta hai par wo uspar hamla kar deti hai. Henry or Georgia bhi aag ki vajah se alag ho jaate hai. Pierce Sarah ko marne ki koshish karta hai par Will aa kar use bacha leta hai. Ab wo dono mil kar Henry ko bachate hai. Will Sarah or Henry ko Pearl se bahar bhejne ka rasta nikal leta hai. 

Georgia or Will ko Kores pakad leta hai. Wo Will ko Georgia ke badle penthouse me ja kar Zhao se ek pendrive lane ko kahta hai. Will penthouse ka gate kholne ka tarika dhondhta hai. Police Sarah se pooch taach karti hai. Will Pearl ke control panel tak pohochta hai. Wo darwaaze khol deta hai. Zhao unhe fir se band karne ki command deta hai. Par unke band hone se pehle hi Will andar pohoch jaata hai. 

Zhao Will ko batata hai ki uske tracking software ki vajah se uske pass Kores ke saare illegal bank accounts ki details hai. Will Zhao ko le kar terrace par jaata hai pendrive ke badle Georgia ko lene. Unke bich haathapayi hoti hai or wo log chup jaate hai. Xia Sarah par hamla kar deti hai par Inspector aa kar use bacha leta hai. Ab Sarah ko Will ki tablet mil jaati hai. Will Georgia ko bacha leta hai. Kores mara jaata hai. 

Kaafi koshisho ke baad bhi wo log Pearl se nikal nahi paate. Sarah Anti-fire system wapus on karne ki koshish karti hai. Or wo on ho jaate hai. Aag bujh jaati hai. Ek helicopter Zhao, Will or Georgia ko lene aata hai. 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *