Jumanji: Welcome to the Jungle

1996 me ek aadmi ko beach ke kinare ek game milti hai. Wo use la kar Alex ko de deta hai. Raat ko us game me se beats sunayi deti hai. Alex use khelne ka sochta hai. Ab movie present day se start hoti hai jahan Fridge Spencer ko milne bulata hai. Wo log Alex ke ghar ke aage milte hai. Alex ke papa Spencer ko wahan dubara aane se mana karte hai. 

Spencer, Fridge, Martha or Bethany ko school me punishment milti hai. Principle Bentley unhe ek purane room me le kar jaate hai or wahan ki safayi karne ke lie kahte hai. Safayi ke dooran Fridge ko Jumanji milti hai. Wo log use TV me connect karke apne characters ko select karte hai. Ek ek karke wo charo game ke andar chale jaate hai. 

Spencer ko realize hota hai ki shayad wo charo game ke andar aa gaye hai or unki body or knowledge apne select kiye hue characters ki tarha ho gayi hai. Spencer Dr. Smolder Bravestone ban jaata hai, Fridge Franklin Moose Finbar, Martha Ruby Roundhouse or Bethany Professor Shelly Oberon ban jaate hai. 

Wo log apne haath me 3 lines bani dekte hai. Bethany ko rhino kha leta hai. Fir wo achanak asman se girte hue aati hai. Tabhi wahan or rhino aa jaate hai. Bhagte hue unhe Nigel milta hai jo ki game ka non-player character hota hai. Wo sabko batata hai ki wo Jumanji ka field guide hai. Professor Russel Jumanji ke bohot purane Jaguar ke statue se diamond chura leta hai. Jiske baad Jumanji ke saare janwar uske ishare par chalne lagte hai or Jumanji shrapit ho jaata hai. 

Nigel wo hira Russel se chura leta hai or Spencer ko de deta hai. Wo use hire ko wapus Jaguar ki aankh me lagna ko kahta hai taki Jumanji shrap se mukt ho jaye. Nigel Spencer ko Jumanji ka map de kar bazaar me ja kar uska missing piece dhondne ko kahta hai. 

Un charo ko apni apni weakness or strengths pata chalti hai. Tabhi unpar kuch bikers hamla kar dete hai. Martha ko goli lag jaati hai or wo marr jaati hai. Fir use bhi second chance milta hai. Tab Spencer samjh jaata hai ki unke haath par wo 3 lines bani hui actually me unki lifes ki counting hai. 

Fridge or Spencer ke bich me behas hoti hai or gusse me Fridge use pahad se dhaka de deta hai. Bazaar pohoch kar Fridge galti se cake kha leta hai jiski vajah se wo blast ho jaata hai. Bazaar me ek bacha unhe map ke missing piece ke pass le kar jaata hai. Basket me se saap nikalta hai jiske Fridge daant todd deta hai taki wo unhe kaat na sake. Unhe basket me se ek clue milta hai. 

Russel ke aadmi unhe bazaar me dekh kar unke piche padd jaate hai. Russel Spencer se us hire ko wapus karne ke lie kahta hai. Tabhi ek aadmi unhe aakar bacha leta hai. Wo apna naam Alex batata hai. Wo pichle kahi mahino se us game me fasa hua hai or uske pass ek hi life bachi hai. 

Wo log game ke next level ko paar karne ke lie nikalte hai. Alex se baat karke unhe realise hota hai ki wo pichle 20 saal se is game me fasa hua hai. Martha apni strength dance fighting se gundo ko maar deti hai. Aur logo ke aane se pehle wo log helicopter se wahan se chale jaate hai. Par firing ki vajah se unka helicopter kharab ho jata hai. Spencer helicopter theek karne ki koshish karta hai. Fridge se diamond niche gir jata hai jise rhino protect karne lagte hai. Spencer rhino ka dhyan bhatkane ke lie Fridge ko helicopter se niche gira deta hai or hira utha leta hai.

Wo log ek jagah par khade hote hai jahan Alex ko mosquito bite kar leta hai jo ki uski weakness hoti hai or wo marne lagta hai. Bethany use apni ek life de kar bacha leti hai. 

Unhe jaguar ka statue mil jaata hai. Russel ke log unke piche wahan tak aa jaate hai. Wo log jaguar ka dhyan bhatkate hai taki Spencer statue par chadh kar diamond wapus laga sake. Russel Bethany ke badle hira mangta hai. Tabhi wahan Fridge aakar unhe bacha leta hai. Par usse hira kahi durr gir jaata hai. Martha ke kahne par Spencer pahaad chadhna shuru karta hai or wo use hira la kar degi. Hira kayi saare snakes ke bich me gir jaata hai. 

Russel sab snakes ko apne bus me kar leta hai or Martha se hira mangta hai. Martha mana kar deti hai or ek saap ko apne pair se marti hai kyuki zeher uski weakness hoti hai. Spencer jaguar ke statue ke top par pohochne hi wala hota hai jab wo Martha ko aasman se aata dekhta hai. Martha niche aate hue wo diamond Spencer ke haath me de deti hai jise wo jaguar ki ankh me laga deta hai. Sab ek saath Jumanji chilate hai or Jumanji shrap se mukt ho jaata hai. 

Sab theek hone ke baad Nigel wahan aata hai. Wo sabse ek ek karke haath milata hai or sab game se bahar nikal jaate hai. Wo sab school ke usi room me pohoch jaate hai. Ghar jaate hue wo log Alex ke ghar ke samne rukte hai. Unhe wahan Alex dikhaai deta hai. Last me unhe fir se Jumanji ki beats sunayi deti hai. Par is baar wo log game ko todd dete hai. 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *