Jack Ryan | Season 1 | Episode 7 | The Boy

Hello friends.

Jaisa ki pichle episode me hamne dekha tha ki hanin jack ko Suleiman ki location ke baare me bata deti hai. Ab CIA training complex me kuch soldier Suleiman ke ghar ja kar use pakadne ki practice kar rahe hote hai. Jack hanin ko us training complex me le kar aata hai jahan matice usse Suleiman ke baare me kuch sawal poochta hai. 

Suleiman apne bete se kahta hai ki uski behne ghar aa rahi hai par hanin ko dushmano ne maar diya. Yeh sun kar sameer bohot dukhi hota hai. 

CIA headquarters me Suleiman ke ghar ki satellite pictures dekhi ja rahi thi. Jack wahan par ground attack karne ke lie suggest karta hai par koi uski baat nahi manta. 

Army medical research institute se 2 officers Cathy ko lene aye hote hai. Wo usse uski Ebola virus par ki gayi research ke baare me kuch poochna chahte hai. 

Suleiman doctor nadler ko bula kar unhe kuch dawaiya deta hai jo unhone mangi hoti hai. 

Jack or Greer ko pata chalta hai ki Suleiman or Ali 6 mahine pahle liberia se Azerbaijan ek ebola infected dead body ko chori karke le gaye the. Wo dono us meeting me pohochte hai jahan par research institute ke kuch officers Cathy se Ebola virus ke baare me discussion kar rahe hote hai. Jack ke poochne par Cathy batati hai ki Ebola virus ko ek weapon ke taur se istemaal karke failaya bhi ja sakta hai. 

Ibrahim or jabir Baltimore port par kuch chemical ki bottles ek container se nikalte hai. aisa karte hue ek bottle leak ho jaati hai or wo dono use Wohi chod dete hai. 

Hanin apni betiyon ke saath Maryland ke ek safe house me chupi hoti hai. Ek officer Sara ko ek video game deti hai jo usne maangi thi. 

Greer raat ko 3 baje jack ko call karke ek meeting me aane ke lie kahta hai. Meeting US ke president se hoti hai. Wo log Suleiman ke ghar ki satellite images dekh rahe hote hai jahan unhe confirm ho jata hai ki wo 12 missing doctors bhi wahan bandhi ban kar rah rahe hai.  Jack president ko Suleiman ke bete ke baare me batata hai. President ground attack ke zariye sameer or sab hostages ko wapus laane ke lie kahte hai. 

Sara us video game ke zariye sameer se baat karti hai. Use batati hai ki wo hanin or rama ke saath America me hai. Par sameer ke yeh saare messages suleiman padh leta hai. 

Ek conference room me kaafi sare officials mojud hote hai. Wo log wahan ground attack ke visuals dekh rahe hote hai. Suleiman sameer or apne saare aadmiyon ko le kar wahan se ja chuka hota hai. soldiers ki team un 12 doctors ko le kar wapus aa jati hai. 

CIA ko Suleiman ke ghar se jo saman milta hai wo uski jaanch karte hai. Jaanch me Greer ko pata chanta hai ki suleiman janta tha ki president or doctor nadler friends hai. Jack samjh jata hai ki suleiman un 12 doctors ke zariye ebola virus failana chahta hai. 

To dosto episode 7 ki story bus yehi tak thi ab jald hi iske next episode me milenge. 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *