Gumraah

Arjun Aakash ka murder kar deta hai or saare saboot mita deta hai. SI Shivani Mathur case investigate karna start karti hai. Wo aas pass ke ghar ke owners se bhi pooch taach karti hai. Use ek ladke ke phone me killer ki photo background me mil jaati hai. Wo us photo ko ACP Dhiren Yadav ko dikhati hai. Dhiren photo dekh kar samjh jaata hai ki yeh Arjun Sehgal hai. 

Shivani Arjun ko questioning ke lie police station la kar ek room me band kar deti hai. Dhiren usse kuch sawal poochta hai or uske jawab se satisfy nahi hota. Police custody me ek or aaropi aata hai, Sooraj Rana jo ki Arjun ka hamshakal hota hai. 3 mahine pehle ki story me dikhate hai ki Arjun Jahnvi ko pasand karta hai or coffee par chalne ke lie kahta hai. Dhere dhere unka relationship badhne lagta hai. 

Sooraj kisi ko dhoka de kar usse 2 lakh rupee le leta hai. Jahnvi 2 hafte ke lie out of town jo rahi hoti hai. Sooraj or Chaddhi kidnap ho jaate hai or wo aadmi unse 20 lakh rupee mangta hai. Arjun Jahnvi ko shadi ke lie propose karta hai. Ab movie present day se start ho jaati hai. 

Police Arjun or Sooraj ke DNA test ke lie sample leti hai. Police evidence search karne ki koshish karti hai par kuch nahi milta. Shivani ko pata chalta hai ki Dhiren or Arjun ki kuch personal dushmani hai Jiski vajah se Dhiren use is case me fasa dega. 

Arjun police custody se bhagne ki koshish karta hai or Sooraj se takra jata hai. Dono me kaafi ladayi hoti hai. Forensic reports se pata chalta hai ki Arjun or Sooraj twins hai. Police fingerprints ke lie fir se Aakash ka ghar search karti hai par kuch nahi milta. 

Arjun or Sooraj apne Bachpan ki story batate hai ki unke papa mummy ki aapas me nahi banti thi. Unki maa jua khelti thi Jiski vajah se unka divorce ho jata hai or custody unke papa ko milti hai. Is sabki vajah se unki maa suicide kar leti hai. Uske baad se Sooraj Badal jaata hai. Un dono ka 1 saal ke lie psychiatric treatment bhi chala tha.  

Shivani ko pata chalta hai ki Sooraj ne murder ke next day apna 20 lakh rupee ka udhar khatam kiya tha or Aakash ke ghar se bhi 20 lakh rupee hi gaya hote hai. Yeh baat ACP Dhiren ko pehle se pata hoti hai. Ab Shivani samjh jaati hai ki ACP Arjun ko fasana chahte hai par Shivani ko Sooraj par shak hota hai. 

ACP Sooraj ko ek jewellery shop par le kar jata hai jahan chori hui hoti hai. Wo use us chori ka blame lene ke lie kahta hai. Tab Sooraj batata hai ki usne 20 lakh rupee jua keel kar jite the. Police cross check karti hai or wo Sahi saabit hota hai. Shivani Dhiren ki beti ko station bulwati hai or wo batati hai ki Arjun unke ghar par tha. Iske alawa wo ek cab driver ko bhi witness batati hai. 

Kuch pakke evidence na hone ki vajah se pata nahi chalta ki Sooraj or Arjun me se guilty kaun hai to court un dono ko hi free kar deti hai. 

Kuch hafto baad Shivani ko kuch purane cases ki files milti hai. Jahan use Jahnvi ki missing complaint dikhti hai jo ki Arjun ne ki hoti hai. Shivani uski ek friend se milti hai jo use batati hai ki Jahnvi ne use messages karke bataya ki wo apne ex-boyfriend ke saath settle ho rahi hai. Uska naam Aakash hota hai. Wo yeh sab Arjun ko bata deti hai. 

Arjun Aakash se Jahnvi ke baare me poochta hai. Wo batata hai ki usne Mumbai me Jahnvi ko drugs de kar uska rape Kiya tha. Drugs ki overdose ki vajah se Jahnvi Marr jaati hai. Usne 20 lakh rupee de kar case close karwa diya hota hai. Gusse me Aakar Arjun Aakash ko maar deta hai. 

Movie ke last me Sooraj Arjun ko batata hai ki usne yeh saare nakli evidence plan kiye hote hai use bachane ke lie. Yeh sab Shivani samjh jaati hai par kuch kar nahi paati kyuki usne Arjun ko bachane ke lie nakli evidence create kiye hote hai. 

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *